Haste huye dard seh liya

Halaat kya badle yahan to
Sab apne badal gaye
Saath jinke jeene ke sapne dekhe the
Wo sab sapne badal gaye

Teri khushi se badh kar maine
Kisi cheez ko ehmiyaat kahan di
Isiliye to haste huye dard seh liya
Aur see tak na ki



Kitna kareeb thi tu mere 
Jaise saanso me samaayi ho
Ek dum se kaise keh diya ki
Tum bhool jao
Us pal aesa laga jaise meri
Maut aayi ho

Ab tu mujhse aese milti hai
Jaise humko jaanti hi nahi
Jabki tere liye to pehele 
Hum se badh kar kuch tha hi nahi

Maana ki tumne majbooriyon me
Haath kisi aur ka thama
Magar kahan gayi wo baatein
Jo tum jaate hue kahi
Keheti thi ki hum milte rahenge 
Zindagi ki har mod par
Par tumne to haal tak na jaana
Ke hum jee rahe hain ya gaye mar..

Kahan gayi wo baatein jinme
Sirf mera jikr tha
Aaj haal tak na jana usne mera
Jise har waqt mera fikr tha

Keheti thi koi aur na mere jism ko
Chu sakega kabhi
Teri ye bhi wada jhutha nikla
Tere saath tera bacha maine dekha jabhi

Ab tere liye bahaye ansuon pe
Mujhe hansi si aati hai
Teri kahi hui wo har jhuthi baat
Jab bhi yaad saatati hai

Jahan bhi rahe tu khus rahe 
Apni raqeeb ke saath 
Pyaar ke siwa aakhir kya milta tujhe
Iss gareeb ke saath

Acha hua tu badal gayi 
Waqt rehete hi sambhal gayi..