Ek bewafa ki kahani

Kabhi kabhi apni aankhon pe 
yakeen nahi aata hai
Kaise koi chand se pyaara khud hi 
dil tod ke jaata hai

Ek ladka jisne sab kuch bhula dia 
apni mohabbat ke liye
Uski mohabbat use chor gayi 
kisi dusre ke liye

Wo ladka us ladki ko khub ghumata tha
Uski ek khwahish ke liye 
apni jaan tak lutata tha

Ladki bhi uske pyaar ka khub 
faida uthati thi
Apne jhunte aanshuon ko dikha kar 
ladke ko khub rulati thi

Na samajh uske har baat ko 
koi pyaar samajh betha tha
Uske siwa kisi aur ka na hoga 
Har waqt yahi keheta tha

Magar usko na pata tha ke 
kismat kya mod legi
Jise wo jaan jaan keheta hai
Kisi aur ke liye wo muh mod legi


Aakhir ladki ne achanak use 
bhool jane ko kehediya
Jab wajah puchi to bahana 
majburiyon ka bana liya

Kehene lagi gharwale mere shaadi 
kahi aur kar rahe hain
Mujhe tumse dur jane ko 
majboor kar rahe hain

Ladka bichara tootne sa laga
Uska rab par se bharosha chootne sa laga
Ab to wo akela hi reh gaya tha
Ladki ke liye to usne apno ko bhi chor diya tha

Magar kisi ke samjhane par 
wo ab bhi jee raha hai
Magar andar hi andar gham ke 
aansu pee raha hai

Mohabbat me sabka yahi haal hota hai
Jitni geheri ho mohabbat dil utna hi rota hai