Tere bina ek pal bhi raha nahi jaata

Tujhe kya bataoon, kya nahi,
kuchh samajh nahi aata
Tera khayal aa jaye, fir tujhse mile bina
raha nahi jaata


Muskarahat aa jaati hai labon par,
dil ka dard bayaan ho nahi paata
shabdon se Shayari ban jaati hai,
par tere saamne aate hee 
mujhe kuch kaha nahi jaata.


Sochti hoon nazaron se baatein karun
par chahakar bhi teri taraf 
mujhse dekhaa nahi jaata


Sach baat to ye hai ki,
tujhse door ek din kyaa,
ek lamhaa bhi rahaa nahi jaata.