Pehli baar khud ko..



Aaine me pehli baar khud ko
tab nihaara
Jab nazaron ne aapki, tareef
in nigaahon ki, ki

Hansi ko apni pehli baar tab 
nikhaara
Jab honthon ne aapke taarif
in labon ki, ki


Ungliyon ko apni pehli baar 
tab mehsoos kiya
Jab hatheliyon ne aapki, aarzoo
in haathon ko thamne ki,ki

Khud se pyaar pehli baar 
humne tab kiya
Jab mohabbat ka izhaar karne
ki himmat aapne ki.